Pages

Wednesday, November 27, 2013

Uski mohobbat ka anjam aya hai



Jane anjane mein tune ye jo aitbaar hai kiya.... 
Tuje na khabar tune is dil ka haal kya kiya......


Dil hai mera pathar tune kyu isse maum hai kiya.... 
Jisne b chhua vo bas tukde hazar kar gya.... 


Safar ishq ka humne hai pehle bhi kiya....
Doobe beech safar, kinara bhi naseeb na hua.... 


Jab bhi naam ishq ka laboon se hai liya....
Aansoun ka jaam humne hai piya....


Fir ulajh gya hun aaj ek sawaal mein... 
Kyu maine hai firse  pyaar kar liya.......!!!??



2 comments:

  1. Ishq ka fasana logon se suna tha ...
    Kisi ko raas na aaya aur koi toh ram gya ...

    Mohabbat ka kissa logon se suna tha...
    Kisi ko Kiya fanna aur koi toh dobara jee gya ....

    Koi gar puche ki ishq ne tera Kya haal Kiya ...
    Kya jawab de unhe ,  Hum toh Khud hi iss sawal mien uljhe hain...

    Kyun Maine fir se hai pyaar kar liya !!!!

    ReplyDelete